AMANAT AUR SADAQAT KIA HAI
Humaray Rasool (S.A.W.W) ki zate tumam khubiun ka mujmua thi. Ap humasha barau ka adab kartay, chotu par shafaqat farmatay, khwateen ka ahtaram kartay aur har ak say hussane ikhlaq se peysh atay, Ap ki sadaqat aur amanat ko makkah kay sab log mantay they. Is liy ap ko sadaq aur ameen kay nam say pukartay they. Log apni amantain be ap kay pass rakha kartay thay.
Hazoor Pak (S.A.W.W) ki zandgai kay har muamalay main sadaqat aur amanat ki ala masalain qaim ki, Ap ne jawani main tajarat be farmai. Ak martaba Hazrat khateeja ne apna maal tajarat ki garaz say ap kay suporad kia aur apna ak tajurbaqar ghulam be jis ka nam mayasrah thay ap kay humrah kar dia. Unho ne us ghulam ko ya hadayat be ki kay us safar kay duran ap ki tamam batay unhain ay kar bataye. us duran mayasrah ne tajarat kay silsaley main ap ki sadaqat aur diyanat ko dekha aur wapas ay kar Hazrat Khateeja say us ka zakar kia to Haazrat Khateeja ne unhe batoon say mutasar ho kar Hazoor Pak (S.A.W.W) ko shadi ka paygam behja.
AHED AUR AMANAT KI PASSDARI
Ahed aur amanat ki passdari har insan kay liy ak banyadi ikhlaqi wasaf h leyken ak asi tahreek kay karqun kay liay jo aqamat dyeen kay liay kosha ho us ki ahmiyat do chand ho jati h. Is qasim ki tahreeq ko kamyabi kay liy ba kardar afrad ki zarorat hoti h. kyu kay Allah seraf asay logo ki qurbani o asar qabool karta h jo mutaqi ho.
"bey shak Allah mutaquian ki taraf say qurbani kabool karta h"
Kardar kay huwaley say 03 ahum ammor benyadi ahmiyat rakhtay h yani suchai, ifay e ahed aur aday e amanat.
Hadsay nabvi h "Munafaq ki 03 alamat hain jab bat karay to jote bolay, aur wada karay to wada khlafi karay ,aur jab us pass amanat rakhwai jay to khiynat karay, khwah rooza rakhay aur namaz adda karay aur ye dawa karay kay wo muslman h.
Goya suchai, afay e ahed aur add e amanat ki safat ka kisi ka insan main na hona munafqat ki alamat h. Nabowat kay zahoor say qabal Rasool (S.A.W.W) kay ala kardar ki ya shan thi kay ap (S.A.WW) Sadaq aur Ameen kay alqabat say mashoor thay. Ap (S.A.W.W) kay jade amjid Hazrat Ismail {R.A} ki Quran ne Kuhbi bayan ki h kay " Bey shak wo waday kay suchay thay".
Hazrat Abullah Bin Umar{R.A} say Rawayat h kay Hazoor Pak (S.A.W.W) nay farmaya kay 04 adatay jis kisi main hu to wo pura munafaq h aur jis kisi main in 04 main say ak adayat ho to wo be munafaq h jab tak usay kahtum na kar day wo ya hain:-
- Jab ameen banaya jay to amanat main kahyanat na karay.
- Jab bat Karay to jote na bolay.
- Jab kisi say Ahed Karay to wada pura na karay ya dokha day.
- Jab kisi say leray to galiuon par utar aye.
Kon khata h main sadaq aur ameen hu. Muslman aaj nam kay muslman hain. Dunya main koi ak insan ho ga jo ameen ur sadaq ho ga. Wo meray Aqa Rasool (S.A.W.W) hain. Ager ap apni zandgai main koi change lana chahtay ho Rasool (S.A.W.W) kay ahkamat par amal kar kay zandagai basar karo.
CHELO AAJ HUM SAB AHED KARATY HAIN KAY HUM RASOOL (S.A.W.W) KAY NAQSHEY QADAM PAR ZANDGAI BASAR KARNEY KI KOSHIS KARAY GAY.
BY{M.SHAFIQUE}


PEASE ADD THE COMMENT WHICH HAS MEANING.AND DESCRIBE YOUR CHARACTER.....