AURAT K SAITH KASAY SALOOK KARNA CHAHIE
Rasool (S.A.W.W) ka farman h:-
Aurat paslee ki hadi ki tera h ager tum us ko seeda karna chaho gay tu tum usay tor do gay yeni judai ki nobat a jay gi aur ager tum aurat se fayada uthana chaho tu tumhay us ka teyra pan bardasat kartay huway us ki khubio se fayada uthna ho ga.
Aurat se payar karo
Har bat payar se samjao
Aurat ko kabi na maro
Aurat par zayada sakhti karo gay tu ghar m fasad lari ho gi aur ghar toot jay ga
Aurat jtni payar se samjati h unti mar se nehi
Jis ghar m aurat aur murd ka payar ho wo ghar jannat h
Bachey be maa aur bap se seekhtay h
Ager maa aur bap ka salook na ho un k bachey be batmeez ho jaty h.
Meri apni zandgai ka tajarba h k log amir ku hotay h ku k mian bewi k darmayan bohat salook hota h wo har mushwara aur business mel kar kartay h aur bat ko ak dosray k saith share be kartay h.
Gareeb family k murd hazrat wo koi bat be payar muhbat se nehi karay gay har waqat bewi ko bura bala aur bacho kay saith mar peeth se ghar ka mahul khrab ho jata h. Jis ki waja se kabi zandgai m kamyab nehi ho saktay.
Meray islami bahio se gujarash h k ap apni bewi ko apna partner bana kar tu dekho aur us se hussanay salook karo INSHALLAH MERAY ALLAH NE CHAHAY TU AP K GHAR K MUMLAT KUD TEHK HO JAY GAY AUR GHAR SAKOON AUR ALLAH KI REHMAT BE HO GI.
WRITTEN BY MUHAMMAD SHAFIQUE


PEASE ADD THE COMMENT WHICH HAS MEANING.AND DESCRIBE YOUR CHARACTER.....