ADS

RAZIQ-E-HALAL AUR HARAM KIA H

RAZIQ-E-HALAL AUR HARAM KIA H

Farmane mustafa (S.A.W):-

Jo insan is liye kamai kartay h k sawal karnay bachay ahilo ayial k liye kuch hasil karay aur apnay parosi k saith husnay salook karay wo qayamat m is tara aye ga k us ka chehra chodavian k chand ki tara chamkata ho ga.

"ADAB SAY DEKHNA LOGO YE MERA RAZIQ-E-HALAL"

"YE KUM LAGAY BE TO TASEER M ZAYADA H"

"MUJE MALO ZAR KI HAWAS NEHI"

"MUJE BUS RAZIQ-E-HALAL DAY"

"MERAY ZAHEN M TARI FAKIR HO"

"MERI SAIANSO M TARA ZAKIR HO"

"TARA KHOOF MERI NAJAT HO"

"SABI KHOOF DIL SAY NAKAL DAY"

"TRAI BARGAH M AYE KUDHA"

"MERI SUBAH SAY YE DUA TO RAHEEM H TO KARIM H"

"MUJE MUSHKALO SAY NAKAL DAY"

"MERI AKHRAT SAWAR DAY"

Aj kal trend ban choka h k log haram ki tarif zyada baghtay h laykin wo zandagi m kabi sakoon nehi patay.

Logo ko sharam nehi atti haram khatay howay.

M ap ko aik wqia batata ho jo meray saith civil hospital Gujranwala m howa. Meri babi ka accident ho gaya 11 Rabi ul Awal ko wo kafi serious thi. 1122 ambolance waley meray saith thay wo civil hospital Gujranwala choor ker chelay gay.

 Civil hospital walo nay first aid danay k bad hum ko meuo hospital lahore refer kar dia aur doctor nay ambolance k liye phone kia to wahian ka aik mulazam meray pass aya aur us nay 500 rupay ki demand ki k muje do m ap k liye veh ka jeldi intazam ker deta hu.

Aik aur waqia batata hu aj say 16 years phelay ki bat h m nay aik plot purchase kia jab m nay registry karwai us per caste lekhwana bool gaya muje farad ki zarorat pari m farad office Gujranwala gaya to jab record check kia to record m caste Mughal ki jega per Arian lekhi hoi thi.

 Records office walo say m nay kaha k ye caste kasay change ho sakhti h unho nay kaha k tum patwari k pass chelay jao m patwari k pass Rahwali aya to patwari sahib say bat ki us nay muje kaha ye to bohat bara masla h ap record office jay wahian say intaqal ki copy lay ker aian to phir kuch kartay h m record office Gujranwala gaya meri aik banday say bat hoi aur kaha muje intaqal ki copy chahiye us nay kaha mil jay gi ap 800 rupaya day m nay us ko 800 rupaya dia aur muje intaqal ki copy day di aur usi banday nay muje kaha ap ka masla kia h m nay sari bat batai wo kahnay laga ye to intana bara masla nehi ap muje 6000 hazar day inshallah aik hafay m ap ki caste change ho jay gi aur aik haftay k bad a ker lay jana ap ka kam ho jay ga m aik haftay k bad gaya laykin kam nehi howa tha us nay kaha kuch din aur lagay gay ap ka kam ho jay ga. 

08 mahenay guzar chokay h laykin us banday nay kam nehi kia aur 6000 hazar lay ker haram kha choka h. 

Meray Islmai behno aur bahio haram humray jasim m paka jam choka h is ko nakalna bohat he mushkil ho choka h. 

 Ager hum sab ahed ker lay to is lanat say jan chora sakhtay h Allah say mufi mang ker suchay dil say toba ki jay wo bara Ghafooro Rahim h wo apne bando ko muf ker deta h.         

Humaray her department m haram chaltay h aur ye haram baray head say suro hota h aur nechay chaparasi tak haram khaya jata h.

Humaray her department k baray logo nay Pakistan ko apni jageer banaya howa h ager ye log haram khana choor day to Pakistan ki economy thek ho sakhti.

Aye meray pakistani bahio ager her department amandari ka muzahra karay aur haram na khaye to Pakistan ka qarza aik mahenay m utar sakhta h.

Meri Apeel h her department k logo say k haram khana choor do halal ki traif a ker to dekho Allah tum logo per rahim be karay ga aur zandagi be asan guzray gi aur tum logo ki ulad be naik aur amandar ho gi.

Hazoor (S.A.W) ka farman h:-

Jo insan apnay boray ma bap k liye halal roozi kamata h aur dor doop m rehtay h wo kuda k rastay m h aur jo insan apne chotay bacho ki perwarash k liye mehnat karta h wo b kuda k rastay m h aur insan apni zat k liye mehnat karta h ta k logo say sawal na karna paray wo be kudah k rastay m h.


HALAL RAZIQ AN ABADAT H 


                                         

                              Written By : Muhammad Shafique




 

   

 

 





Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad