ADS

SURAH-E-YASIN KI FAZEELAT


SURAH-E-YASIN KI FAZEELAT

Sarkaray-e-Madina ne farmaya:-

Surah-e-Yasin Quran ka dil h jo isay Allah ki raza aur akhrat k liya paray ga us ki mugfarat ker de jay gi.

Bayshak her cheez ka dil h aur quran ka dil Surah-e-Yasin h aur jo aik murtaba paray ga us k liya 10 murtaba quran parnay ka sowab lekha jay ga.

Jis insan ne is ki talawat ki ye us k liya 20 Hajj k barabar h. 

Jis ne is ko lekha phir isay peeya to us k pate m 1000 duwain, 1000 noor, 1000 barktain aur 1000 rehmatian dakhal ho gi aur us say her dohka aur bemari door ho jay gi.  

Meri khuwash h k Surah-e-Yasin meri umat k her insan k dil m ho.

Jo insan her rat Yasin ki talawat karay ga aur phir mar gia to wo shaheed meray ga.

Jo insan din k suro m talawat karay ga us ki tamam hajat puri ker de jay gi.

jo insan rat k suro m talawat karay ga to subah tak us ki rat asan ker de jay gi.

Surah-e-Yasin quran ka dil h jo insan Allah aur akhrat k liya talawat karay ga us k pehlay gunah bukhsh diay jay gay aur is ki talawat apne mernay walo k pass karo.

Jis mernay walay k pass yasin ki talawat ki jati h Allah Tala us ki rooh qabaz karnay m narmi farmata h.

Jis insan ne juma ko apne maa aur bap ki qabir ki ziarat ki aur un k pass yasin talawat ki to Allah her harif k badlay us ki mugfarat farmya dayta h.

Aye Meray Islami Bahio Surah-e-Yasin  akhrat ki zandgai k liya aik behtareen mugfarat ka zaria h. Is ki subah aur sham zoor talawat kia karay. 

Allah hum sab islami bahio ko talawat karnay ki tufeeq atta farmay (Ameen).



             Written by : Muhammad Shafique   

    


Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad