ADS

SURAH-E-MULIK KI FAZEELAT

 SURAH-E-MULIK KI FAZEELAT


Sarkar-e-Madina ne Farmaya:-

Bayshak Quran m 30 Ayato per mushtamel aik surat h jo apne qari k liya shafayat karti rehay gi yehan tak k us ki mugfarat ker de jay gi wo surah-e-mulik h.

Surah mulik jo apne qari k baray m jagra karay gi yehan tak k usay janat m dakhal kara day gi wo surah-e-mulik h.

Jab banda qabir m jay ga to azab us k qadamo ki janab aye ga to us k qadam kayhan gay teray liya meri taraf say koi rasta nehi ku k ye rat m surah-e-mulik para karta tha.

Phir azab us k seenay ya pate ki taraf say aye ga to wo kehay ga k tumahray liya meri janab koi rasta nehi ku k ye rat m surah-e-mulik para karta tha.

Phir azab sar ki taraf say aye ga to sar kehay ga k tumhray liya meri taraf say koi rasta nehi  ku k ye rat m surah-e-mulik para karta tha

Ye surat azab-e-qabir ko rookti h jo isay rat ko parta h wo bohat zayda aur acha amal karta h.

Jo banda rat k waqat talawat karay ga us k liya 30 naikian lekhi jay gi aur us k 30 gunah mita diya jay ga aur 30 dirjat baland kiay jay gay. Allah apne fareshto m say aik fareshta us ki taraf bayjay ga ta k wo us per apne par baycha day aur us ki her cheez say jagnay tak hafazat karay aur apne parnay waley ki mugfarat k liya qabir m jagra karay gi wo surah-e-mulik h.

Sarkar-e-Madina rat ko aram farmanay say pehley surah-e-mulik ki talawat farmatay thay.

Aye Meray Islami bahio ager qabir k azab say najat chahtay ho to surah-e-mulik rat ko zoor talawat kia karay aur apne bacho ko be talqeen karay.

Allah hum sab ko qabir k azab say bachay (Ameen).


                  Written by: Muhammad Shafique    

   

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad